Chita ki lakadi
chintit hai aaj
Ki main kaise jalaun iss laash ko
Kyonki murda hone se pehle hi wo aadami
Khud hi jal raha hai apni aag mein
Kitni garmi hai uske seene mein
Kitni lapat hai uske khayalo mein
Kitne angaar hain uski aankho mein
Kisam kisam ki aag hai uske paas
Pighala jaa raha hai
wo apni hi garmi se
Chita ki lakadi soch rahi hai
Sach kaise jalaun main
Iss laash ko ya raakh ko
kaise?
Bhala raakh bhi jalti hai?
Chintit hai aaj
Chita ki lakadi.
(C)Rupesh Kashyap
1 comment:
kahtein hain chita aur chinta ek saman hoti hai par kashyap ji apne chinta ko jyada wajandar bana diya....
Post a Comment