Saturday, November 26, 2011

Mujhme ek kami hai (Improved Version)



Mujhme ek kami hai
Darasal mujhme ek nahi, do nahi, hazaar kamiyan hain
aur ye saari ki saari meri apni bechainiyaan hain
taajzub hai ki
mujhe iss baat ki bilkul bhi nahi khushfamiyan hain

Haan to main keh raha tha ki mujhme kai kamiyan hain
Aur itni zyada hain ki mujhe koi, koi bhi dekhkar keh deta hai
‘It can be better!!!’

Apni betarah koshish mein
Main poori imandari ke saath
Kabhi Thoda sa literal, kabhi Thoda sa lateral
aur kabhi thoda sa exaggerated hoon.

Sach poochiye to mujhe apne iss ‘hone’ pe bahut maza aata hai
Ye sochkar ki kaise khood ko ‘subjective’ kiya jaata hai

Waise apko pata hai, main hoon kaun???
Aji, main bas ek ‘khayal’ hoon, bas ek ‘khayal’
Nahi, nahi, main sirf ‘khayal’ bhi nahi hoon
Main ‘possibilities’ hoon…behtar hone ki
Aap chahen to mujhe ‘Zindgi’ keh len.

(C) Rupesh Kashyap

No comments: